Dua bhi dil sei nahi nikalti, kaisey nikley? Kahein issey bhi shuba hai kei iss ka asar khatm ho gaya gai. kaisey na ho, pichley baras bhi dua kei thei aman kei, insaaf kei, sachaei kei, laikin iss baras bhi aghaz hei iss khooni tarah hoa kei dua ghut gaei. Masoomoon ka gham, un kei din aur raat kei chain gum honey ka gham, bachoon kei masoomiat khatm honey ka gham...kaisey khatm hoei masoomiat? Iss yaqeen kei khatm honey sei kei ghar kei char diwaari woh faseel nahi jisey gola barood cheer na sakein. yehi tou hota hai bachoon ka yaqeen, kei unke maa baap unhein hur museebat, hur dukh sei bacha saktey hain, Khuda kou bachey kahan jantey hain, yehi tou un ke Khuda hotey hain, yehi yaqeen tou pehchaan dilata hai Khuda ka, ab yeh bachey kiss ka yaqeen karein? Kiss khuda ka?
Aur hum? Hum kya karein? Cheekhein, chilaein, qalam azmaein, sadkoon pei aaein, laikin kyun? Kiss kou bacha paein gei hum? Hur maut, aik mayoosi choodh jaati hai, akhir taqat kei phir fath hoi aur kamzoor phir mara gaya...kaisey na mara jaey, uss nei apna rasta khud chuna jub kei ussey tou haq tha hei nahi aisa karney ka. Kiss nei diya ussey yeh haq? Hamas kou chuna? Ab bhugto! Yehi hai tumhara anjaam.....

Comments